Friday, March 5, 2010

hadith

Narrated Hzrt Ali(R.A) Ap(PBUH) ne frmya
Jb mery aummat 15 khasltyan akhtyar kr ly ge to is pr aaftain& bllyaan nazil hon ge
Aerz ke gye:Ya-Rasullah(PBUH) wo kon se khaslatyan hn?
Frmya:
1)Jb maal-e-ginemat ko zaati dolat bna lya jy
2)Ammanat ko maal-e-ginemat bna lya jy
3)Zokaat ko jarmana smjha jy
4)Aadmi apni b.v (wife) ke attyet kry
5)Maa(mother) ke na-farmani kry
6)Dost ky sath bhulye kry
7)Bap ky sath be-wafi kry
8)Massajid ma aawazin blund ke jayn(yani dunyave baton k shoor, larye jaghry)
9)Sb se razeel (yani kameena tareen) shakhs ko qaum ka sardar bna lya jy
10)Ksi shakhs ky shar se bachny ky lye us ke ezzat ke jy
11)Sharabyan pea jayn
12)Resham pahna jy
13)Gaany walyoun aur
14)Aalaat moseky ko rakha jy
15)Is aummat ky bad waly pahlon ko bura kahyan,
Us waqt logon ko surkh (red) aandhyon ya zalzlon ya zameen ma dhansny ya chahron (face) ky masakh ya pathr brsny k intzar krna chahye
Sunan Tirmizi

hadith

Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Jb 2 muslman mulaqat krty hoy musafa krty han aur aik dosry se kheriyat daryaaft karty han to Allah Tallah in ky darmyaan 100 rehmetyan nazl famata ha jin ma 90 rehmetyan zyada pur-tpaak treqy se milny waly aur achy treqy se apny bhai se kheriyat daryaaft krny waly k lye hoti han."
(Al-Mojam Al-Wast Lil-Tibrani, jild 5, page 380)

hadith

Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Jis ne mery sunnat se muhabbat ki us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki wo Jannat ma mary sath ho ga."
(Mushka-tul-Masabe, jild 1,
page 55, hadees: 175)

hadith

Ap (S.A.W.W) ne farmaya: Qyamat ky roz Allah k arsh k siwa koi saya nhi ho ga,
3 shakhs Allah k arsh ky saaye ma hon gay.
Arz ki gai: Ya-Rasullah wo kon log hon gay?
Irshad farmaya:
1)Wo shakhs jo mary ummati ki preshani door kry
2)Mari sunnat ko zinda karny wala
3)Mujh pr ksrat se darood parhny wala.
(Al-Bdor Al-Safrat Fe amoor Al-akhrat Lil-syuti, page 131, hadees: 366)

hadith

Hadees k mafhoom:
Qyamat ky din hr insaan se 5 swal kye jay gay. In ma se 2 swal maal-o-doolt ky mtlak hon gay. 1 swal ye ho ga k maal kasy kmaya aur dosra ye k isy kharch kasy kya.
(Sunan Tirmizi)

hadith

Hazrat Ibn-Umir (R.A) Ap (S.A.W.W) ka ye qaul nakl karty han:
"Jb fhaishi barh jay to zalzly hon gay aur jb hukaam zulm krny lagyan to barish km ho ge aur jb Ahl-e-zima se dhoka kya jay to dushman zahir hon gay."

hadith

Hazrat Ans (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Jo shakhs ksi gaany waley ky pas baath kr gaana sunta ha, qyamat ky din Allah us ky kaanoo (ears) ma pighla hoya seesa undaaly ga."
(Kanz-ul-amaal, page 96, hadees:40662)

hadith

Ap (S.A.W.W) ka farman ha:
"Allah ke khatr aapis ma muhabbat rakhny waly jb ba-hm milyan aur msafa karyan aur Ap (S.A.W.W) pr darood bajhyan to in ky juda hony se pahly doono ky agly pichly gunah baksh dye jaty han."
(Musnid Abi Yali, jild 3)

hadith

Ap (S.A.W.W) ka irshad ha.
"Aakhri zmana ma mary aummat ke 1 qaum ko masakh kr k bandar aur khanzeer bna dya jay ga.
Sahaba Karaam ne aerz ke Ya-Rasullah khwa wo is bat ke gwahi daty hon k Ap Allah ky Rasool han aur Allah ky swa koi ibadat ky laaiq nhi.
Farmaya: haan khwa namazyan parhty hon, rozy rakhta hon, hajh krty hon.
Aerz ke gye: In ka jurm kya ho ga?
Farmaya: Wo orton ko gaana sunay gay aur baajy bjayn gay aur shraab pyen gay isi (yani khaal kood) ma rat guzaryan gay aur subho ko bandar aur khanzeer bna daye jay gay.
(Aumda-tl-Qari, jild 14, page 593)

hadith

Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
"Jb tm koi gunah karo to is se toba kr lo, yani posheda gunah ke toba posheda aur aelanya (sar-e-aam) gunah ke toba aelanya."
(Al-Mojam Al-Kabeer Tibrani, jild 20, page 109, hadees 331)

hadith

Hazrat Ausama Bin Zaad (R.A) se raiwyat ha k 1 martba Ap (S.A.W.W) Madinah ke ksi choti pr tashreef ly gay aur irshad farmaya:
"Ma jo kuch dakh raha hon, kya wo tm log dakh rahyaa ho?
Shaba Kraam ne aerz kya, nhi.
Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Be-shak ma aisy fitny dakh raha hon jo tumhary gharon ma garyan gay, jis trah barish ky qatry."

hadith

Hazrat Ausama Bin Zaad (R.A) se raiwyat ha k 1 martba Ap (S.A.W.W) Madinah ke ksi choti pr tashreef ly gay aur irshad farmaya:
"Ma jo kuch dakh raha hon, kya wo tm log dakh rahyaa ho?
Shaba Kraam ne aerz kya, nhi.
Ap (S.A.W.W) ne farmaya: Be-shak ma aisy fitny dakh raha hon jo tumhary gharon ma garyan gay, jis trah barish ky qatry".

hadith

Hadees k mafhoom:
Qyamat ky din hr insaan se 5 swal kye jay gay. In ma se 2 swal maal-o-doolt ky mtlak hon gay. 1 swal ye ho ga k maal kasy kmaya aur dosra ye k isy kharach kasy kya.
(Sunan Tirmizi)

hadith

Hazrat Ibn-Umir (R.A) Ap (S.A.W.W) ka ye qaul nakl karty han:
"Jb fhaishi barh jay to zalzly hon gay aur jb hukaam zulm krny lagyan to barish km ho ge aur jb Ahl-e-zima se dokha kya jay to dushman zahir hon gay."

hadith

Hadees:
Allah Tallah ky nazdeek hilaal chezon ma sb se na-passandeda chez tllaq ha.
(Abu-Daud, Abn-e-Maja)

hadith

Hazrat Ans Bin Malik (R.A) se raiwyat ha k,
Ap (S.A.W.W) ka farman ha.
"Rajab ma 1 rat ha k is ma naik amal krny waly ko 100 bars (sal) ke nakiyon ka swab ha aur wo Rajab ke 27 shab (rat) ha.
Jo is ma 12 rakaat parhy, hr rakaat ma Surat-ul-Fatiah aur 1 Surat aur hr 2 rakaat pr attaheyat aur akhar ma slaam phaarny ky baad 100 bar "Subhan-Allah wal-humdulillah wa laa elaha illa Allah wa-Allah akbar", 100 bar "Astaghfar" aur 100 bar Darood Paak parhy aur apni dunya-o-akhrat se jis chez ke chahy dua mangy aur subho ko roza rakhy to Allah Tallah is ke sb dua-yan qabool farmay ga sway us dua k jo gunah ky lye ho"
(Shayb-ul-aemaan, jild 3, sfa 374, hadees:3812)

hadith

(Aakhrat ky maamla ma) ghari bhar ky lye goor-o-fikr karna 60 saal ke ibadat se bathr ha.
(Al-Jamiya Al-Sageer lil-swety, sfa 365, hadees 5897)

hadith

Hazrat Ans (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Jis ne maah hraam (Ze-qad, Zil-hajh, Muhraam, Rajab) ma 3 din Jumyrat, Juma aur hafta ka roza rakha is ky lye 2 saal ke ibadat ka swab likha jay ga."
(Majma Al-zwaiyd, jld 3, sfa 438, hadees:5151)

hadith

Hzrat Slmaan Farsi (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Rajab ma 1 din aur 1 rat ha jo us din roza rakhy aur rat ko qyaam (ibadat) kry to goya us ne 100 sal ky rozy rakhy aur ye Rajab ke 27 tarekh ha. Isi din Ap (S.A.W.W) ko Allah ne ma-boos farmaya."
(shab-ul-aemaan, jild3, sfa 374, hads 3811)

hadith

Harrat Ans (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"27 Rajab ko mujhy nabuwat aata hoye jo is din roza rakhy aur aftar kya waqt dua kry 10 bars (saalon) ky gunahyon k kfara ho."
(Fatwa Rizvia, jild 4, sfa 658)

hadith

Ap (S.A.W.W) k farman ha:
Maah Rajab hurmat waly mahenoo ma se ha,
Aur chaty (6th) asmaan ky darwazy pr is maheeny ky din likhy hoy han.
Agr koi shakhs Rajab ma 1 roza rakhy aur usy perhaz-gari se pura kry to wo roza aur wo din (rozy wala) is bandy ky lye Allah se magfrat talb karyan gay aur aerz karyan gay,

Ya-Allah!
Is bandy ko baksh dy.

Aur agr wo shakhs bagair perhsz-gari ky roza guzarta ha to phr wo roza aur din us ke bakshih ke darkhwast nhi karyan gay aur us shakhs se kahty han,

Ay bandy! Tary nafs ne tujhy dokha dya.

(Ma-sabbat Bl-sunnah, sfa 342)

hadith

Hazrat Abu-Imama (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ka farman ha.
"5 ratyan aisy han js ma dua rad nhi ke jati
1) Rajab ke pahle rat
2) 15 Shabaan
3) Jumyrat aur juma ke darmyani rat
4) Eid-ul-Fitr ke rat
5) Eid-ul-Ezha ke rat"
(Al-Jamiya Al-Sageer, sfa 241, hadees: 3952)

hadith

Hazrat Usman bin matar (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ka farman ha,
"Rajab boht azmat wala mahena ha,

Allah Tallah is maah ma nekyan bugni kr data ha,

jis ne Raja ka 1 roza rakha goya is ne 1 saal ky rozy rakhy

Aur

Jis ne 7 rozy rakhy to dozakh ky saton (7) darwazy is pr band kr dye jay gay

Aur

Agr ksi ne 8 rozy rakhy to is ky lye jannat ky aathon (8) darwazy khol dye jayn gay

Aur

Jo 10 rozy rakh ly to Allah se jis chez ko mangy wo usy aata kry ga

Aur

Jo 15 rozy rakhy to aasmaan se 1 mnadi nida krta ha,

Tumhary pichlay gunah baksh dye gay ab apny aamaal dubara sharu kro

Aur jo is se b zaaid rozy rakhy to Allah Tallah is pr mazeed karm farmay ga

Aur

Maah Rajab he ma Allah Tallah ne (Hazrt) Nooh (A.S) ko kashti ma swar krwaya to (Hzrat) Nooh (A.S) ne khod b roza rakha aur apny hm neshanoo ko b roza rakhny ka hukm dya."
(Tibrani Kabeer, jild 6, sfa 69, hadees:5538)

hadith

Hzrt Bilal (R.A) Ap (S.A.W.W) ke khidmat ma hazir hoy,
Us waqt Ap (S.A.W.W) nashta kr rahyaa thay.
Frmaya:
Ay-Bilal! Nashta kr lo,
Aerz ke, Ya-Rasullah (S.A.W.W)! Ma roza-dar hon.
To Ap (S.A.W.W) ne frmya: Hm apney rozy kha rahyaa hn & Bilal (R.A) ka rizq Jannat ma barh raha h
Ay Bilal! Kya tumhyan khabr h k jb tk rozy-dar ky samny kuch khaya jay tb tk us ke hadyaan (Bones) tasbeeh krty hn, isy frishty duayan daty hn.
(shab-al-aemaan, jld3, sfa297, hads3586)

hadith

Hazrat Ans (R.A) se raiwyat h k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Be-shak jannat ma 1 nehar ha jis ka nam Rajab ha.
is ka pani doodh se zyada sfaad (white) aur shahad se zyada metha ha, jo maah Rajab ma 1 roza rakhy Allah usy is nehar se saraab farmay ga.
(shab-ul-aemaan, jild 3, sfa 328, hadees 3800)

hadith

Hazrat Am-e-Umaara (R.A) farmatey han
Ap (S.A.W.W) mary pas tashreef laaye to ma ne Ap (S.A.W.W) ke khidmat ma crapa barkat ma khana paish kya to irshad farmaya: "tm b khyo"
Ma ne aerz ke "ma rozy se hon"
To Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
jb tk roza-dar ky samny khana khaya jata ha frishtay is rozy-dar ky lye dua-e-magfreet krty rahty han.
(Al-Ahsaan be-tarteeb Abn-Hbaan, jild 5, sfa 181, hadees 3421)

hadith

Hazrat Abdullah Abn-Abaas (R.A) se raiwyat ha k
Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Rajib ky pahly din ka roza 3 sal k kfara ha,
Aur dosry din k roza 2 saalon k
Aur tesry (3) din ka 1 sal ka kfara ha,
Phir hr din ka roza 1 maah (month) ka kfara ha."
(Al-Jamiya Al-Sager, safa:311, hadees:5051)

hadith

Hazrat Ausma Bant Abe-Bakr (R.A) byan karte han k Mujh se Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Kharsh (conusme) kro aur gin gin ky na rakho, warna Allah Tallah b tumhyan gin gin kr dy ga"

hadith

Hzrt Abu Burda (R.A) apny walid se raiwyat krty hn k
Ap (PBUH) ne frmya
"Hr muslman pr sdqa h.
Ap se pocha gya (ais shakhs ky bary ma kya hukm h) jo sadqa ko na pa sky.
Ap (PBUH) ne frmya:
Apny hathon se kamya & apny ap ko nafa punchya & sadqa kry.

Arz kya gya:
Agr ye b na kr sky.

Frmya:
Ksi majboor & prashan aadmi ke madat kry.

Pocha gya: Agr ye b na kr sky,
Farmya: neki k hukm dy.

Kha gya agr ye b na kr sky,
Frmya: Buraye se baz rahya ye b sadqa h"

hadith

Hazrat Memona binte Saad (R.A) ne Ap (S.A.W.W) se airz ke:
Ya-Rasoolallah (S.A.W.W) !
Ap humyan sadqa ky matlaq batyan?
Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Jo shakhs swab ke neeyat se Allah Tallah ke rza jooi ky lye sadqa karta ha,
is ky lye ye aag se dahhal ha"

hadith

Hzrt Fzzala Bin Abbyed (R.A) se raiwyat h wo kahty hn k ma ne Ap (S.A.W.W) ko ye irshad farmaty hoy suna:
"Islam 3 manzla mkan ha.
Sb se nichle manzil (Yani banyad) islam ma dakhil hona h (yani kalma tyba parhna) is manzil ma aam musalman dakhil ho gay hn pus to js se swal kry ga k tou kon ha (yani tm muslman ho ya kafir) to gwab ma kahy ga, ma muslman hon.
is se aupr ke manzil naik amal ke bartri ha. Badh muslman amal ky lihaz se badh se bar-tr han
Aur sub se aala (bathreen) manzil Allah ke rah (rasty) ma jihad krna ha.
is muqaam tk sirf wohe ponch skta ha, jo muslmano ma sb se afzal ho."
un ma se 1 aadal hukmran b ha.
(Mutfik alayha)

hadith

Hadees:
Wo log jo apny gharon ma ya apny raiya ky sath insaaf krty han,

Wo Allah Tallah ky pas noor ky maniron pr hon gay.
(Raiz-al-sahlheen)