Saturday, July 17, 2010

Hadith

Yahya Bin Bkeer,
Lees,
Aqeel,
Abn-e-shahaab,
Arwah Bin Zubaar Am-ul-Moomaneen Hazrat Ayesha (R.A) se raiwyat karty han k inhon ne farmaya k
"Sb se pehli wahi jo Ap (S.A.W.W) pr autrni sharu hoi wo achy khwab thay jo ba-haalt neend Ap (S.A.W.W) dakhty thay, chunacha jb b Ap (S.A.W.W) khwab dakhty to wo subho ki roshni ki trah zahir ho jata, phr tanhai se Ap (S.A.W.W) ko muhabbat hony lagi aur gaar-e-hira ma tanha rehny lagy aur qabl is ky k ghar walon ky pas aany ka shoq ho waha tahnas kya krty, tahnas se murad kye raatyan ibadat krna ha aur is ky lye tosha sath ly jaty, phr Hazrat Khedja (R.A) ky pas wapis aaty aur isi trah tosha ly jaty, yaha tk k jb wo gaar-e-hira ma thay, haq aaya, chunacha in ky pas farishta aaya aur kaha parh, Ap (S.A.W.W) ne farmaya k ma ne kha k ma parha hoya nhi hon, Ap (S.A.W.W) byan krty han k mujhy farishty ne pakr kr zor se dbaya,yaha tk k mujhy
takleef mehsoos hoi, phr mujhy chor dya aur kaha parh! Ma ne kha ma parha hoya nhi hon, phr dosry bar mujhy pakra aur zoor se dbaya, yahaan tk k mari taaqt gawab dany lgi phr mujhy chor dya aur kaha parh! Ma ne kaha ma parha hoya nhi hon, Ap (S.A.W.W) farmaty han k teesry baar pakr kr mujhy zoor se dbaya phr chor dya aur kaha parh! Apny RAB ky nam se js ne insaan ko jammy hoay khoon se peda kya, parh aur tera RAB sb se bazurg ha, Ap (S.A.W.W) ne isy dohraya is haal k ap ka dil kaanp raha tha chunacha Ap Hazrat Khedja Bint-e-khwaled ky paas aay aur farmaya k mujhy kambal aurha do, mujhy kambal aurha do, to loogon ne kambal aurha dya, yahaan tk k Ap ka dar jata raha. Hazrat Khedja (R.A) se saara waqiya byaan kr k farmaya k mujhy apni jaan ka dar ha, Hazrat Khedja ne kaha hargz nhi, Khuda ki qasm, Allah Tallah Ap (S.A.W.W) ko kbi ruswaa nhi kary ga, Ap (S.A.W.W) to sila-rehmi krty han, natawaan ka bojh apny aupr laty han, mothaajon k lye kmaaty han, mehmaan ki mehaam-nwazy krty han aur haq ki raah main museebtain authaty han, phr Hazrat Khedja (R.A) Ap(S.A.W.W) ko ly kr Warqa Bin Noofl Bin Aseed Bin Abdul-Azeey ky paas gayn jo Hazrat Khedja (R.A) ki chahha-zaad bhai thay, zmaana jahileeyt ma nasrani ho gay thay aur ibraani kitaab likha karty thay. Chunaa-cha Anjeel ko ibrani zabaan ma likha karty thay, js qadr Allah chahta, naabena aur boorhy ho gay thay, in se Hazrat Khedja (R.A) ne kaha Ay mary chaha-zaad bhai apny bteejy ki baat suno Ap se Warqa ne kaha Ay mary bteejy tm kya dakhty ho? to jo kuch Ap (S.A.W.W) ne dekha tha byaan kr dya, Warqa ne ap se kaha k yahee wo na-moos ha, jo Allah Tallah ne Hazrat Moosa (A.S) pr nazil farmaya tha, kaash ma no-jawan hota, kaash ma is waqt tk zinda rehta, jb jb tumhary qoom tumhy nikaal daay gi, to Ap (S.A.W.W) ne farmaya! kya wo mujhy nikaal daayn gay? Warqa ne gawab dya, haan! jo cheez to ly kr aaya ha is tarah ki cheez jo b ly kr aaya is se dushmani ki gye, agr ma teera zamana paayon to ma teery poory maadat karon ga, phr zyadha zamaana nhi guzra k Warqa k intqaal ho gya, aur wahi ka aana kuch dinoon ky lye band ho gya, Abn-e-Shahaab ne kaha k mujh se Abu-Salma Bin Abdul-Rehmaan ne byaan kya k Jaabr Bin Abdullah Insaari wahi ky rukny ki hadees byaan kr rahyaa thay, to is hadees ma byan kya k Ap (S.A.W.W) byaan farmaa rahyaa thay k aik baar ma jaa rahaa tha to asmaan se aik aawaz suni, nuzr autha kr dekha to wahi farishta tha, jo mary pas hira ma aaya tha, asmaan aur zameen ky darmyaan krsii pr betha hoya tha, mujh pr raab taari ho gya aur wapis loot kr main ne kaha mujhy kambal aurha do mujhy kambal aurha do, to Allah Tallah ne ye aayet nazil farmaye, (Ay kambal aurhny waly auth aur loogon ko draa aur apny RAB ki baryee byaan kr aur apny kapryoon ko paak rakh aur naapaki ko choor dy), phr wahi ki silsla garm ho gya aur lgataar aany lagy, Abdullah Bin yusaf aur Abu-Saalah ne is ki mataaba hadees byaan ki ha aur Hilaal Bin Rwad ne Zehri se mtabyaat ki ha, Younas aur moomar ne fawad ki jaga bwadrah byaan kya ha.

Sahih Bukhari,
Jild 1,
Hadees no:3

Hadith

Abdullah Bin Yousaf,
Malik,
Hashaam Bin Arwah,
Arwah Am-ul-Moomaneen Hazrat Ayesha (R.A) se raiwyat krty han k
"Haris Bin Hashaam ne Ap (S.A.W.W) se deryaft kya k Ya-Rasullah Ap ky pas wahi kis trah aati ha?
To Ap (S.A.W.W) ne farmaya k kbi mary pas ghanti ki aawaz ki trah aati ha aur wo mujh pr bohat sakht hoti ha aur jb ma isy yaad kr leta hon jo is ne kaha to wo haalt mujh se door ho jati ha aur kbi Farishta aadmi ki suraat main mary pas aata ha aur mujh se klaam krta ha aur jo wo kehta ha isy ma yaad kr leta hon.
Hazrat Ayesha (R.A) ne beyaan kya k Ma ne sakht sardi ky dinoon ma Ap (S.A.W.W) pr wahi nazil hoty hoy dekha phr jb wahi moqoof ho jati to Ap (S.A.W.W) ki peshaani se pseena behny lagta.
Sahih Bukhari,
Jild 1,
Hadees no: 2.

Hadith

Hmeedi,
Safyaan,
Yahya Bin Saayed Insari,
Muhammad Bin Ibraheem Teemi,
Alqma Bin Waqas leesi se raiwyat krty han k wo farmaty han Ma ne Hazrat Umir Bin Khitaab (R.A) ko minbr pr farmaty hoy suna k ma ne Ap (S.A.W.W) ko ye farmaty hoay suna k
"Amaal ky ntaayj (result) neetyon pr moqoof han aur har aadmi ko wohi mily ga js ki is ne neeyat ki, chuna-cha js ki hijrat dunya ky lye ho k wo isy paay ga, ya ksi Orat ky lye ho, k is se nikaah kry to is ki hijrat is cheez ki trf shumaar ho gi js ky lye hijrat ki ho."

Sahi Bukhari,
Jild 1,
Hadees no:1

Sunday, July 11, 2010

Hadith

Hazrat Abu Saayed Khidry (R.A) se raiwyat ha k aik moqa pr Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
Sucha aur Ammant-dar tajr Aanbya, Sadqeen aur Shuhda ky sath ho ga.

Hadith

Ap (S.A.W.W) ne 1 martba Hazrat Ali (R.A) sy irshad farmaya:
Ay-Ali rozana rat ko 5 kam kr k soya karo.
1: 4000 denaar sadqa dy kr soya karo.

2: Aik Quran Shareef parh kr soya karo.

3: Jannat ki qemat dy kr soya karo.

4: 2 lary hoyoon ma sulah kra k soya karo.

5: Aik hajh krk soya karo.

Hazrat Ali (R.A) ne aerz kya:
Ya-Rasullah ye amr to mahaal ha, Ap (S.A.W.W) ne farmaya k:

4 martba Surah-fatyaah parh kr soya karo, is ka swab 4000 denaar sadqa krny ky brabr ho ga.

3 martba
Qul-ho-Allah (Surat Akhlas) parh kr soya karo, is ka swab aik Quran Majeed parhny ky brabr ho ga.

10 martba "Darood-Shareef parh kr soya karo ye jannat ki qemat ada karny brabr ho ga.

10 martba "Astaghfero-Allah-Rabi-Min-Kul-zanbin-wa-Aatobo-Alayh" parh kr soya karo. Ye 2 lary hoyoon ma sulah krany ky brabr ho ga.

4 martba tesra kalma parh kr soya karo, 1 hajh k swab mily ga.

Hadith

Hazrat Abu Huraira (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Aik aadmi 2 chadryan pehn kr bary garoor ki chaal ja raha tha k Allah ne uss ko zameen ma garq kr dya wo qyamat tk is ma dhansta chla jay ga."

Hadith

Hazrat Abu Huraira (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Aik aadmi 2 chadryan pehn kr bary garoor ki chaal ja raha tha k Allah ne uss ko zameen ma garq kr dya wo qyamat tk is ma dhansta chla jay ga."

Hadith

Hazrat Ayesha (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
"Muslman ko jo b koi museebat ponchti ha isy Allah Tallah gunahyon ka kffara bna daty han. Yahaan tk k agr ksi ko kanta b chuby to is se b is ky gunah maaf hoty han.

Hadith

Hazrat Ans (R.A) se raiwyat ha Ap (S.A.W.W) ne farmaya k
Aisa koi Nabi nhi js ki nazeer maari aummat ma na ho. Ps
Abu Bakr (R.A) Hazrat Ibraheem (A.S) ki nazeer han.
Umir Bin Khitaab (R.A) Hazrat Mosa (A.S) ki nazeer han.
Usman (R.A) Hazrat Haroon (A.S) ki nazeer han.
Ali Bin Abi Taalb (R.A) meri apni nazeer han.
(Al-Reyaaz Al-Nafrt Fi Munaqab Al-Aishrat)

Hadith

Hazrat Ans Bin malik (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ko ye farmaty hoy suna k
Mujhy Jibraeel (A.S) ne khabr di ha k Allah ne jb Hazrat Adam (A.S) ko peda farmaya aur in k jism ma rooh dakhil farmye to mujhy hukm dya k jannat ka saib (apple) ly kr is k halq ma nachoor doon. Pus jb ma ne saib (apple) in k mouh ma nachora to
Ya-Muhammad (S.A.W.W) pehly nukty se Allah ne Ap ko takhleeq farmaya. Dosry se Abu Bakr Sadeeq (R.A), tesry se Umir (R.A) ko, chotey (4th) se Usman (R.A) ko, aur panchyan(5th) nukty se Ali (R.A) ko pedha farmaya aur Adam (A.S) se Allah ne farmaya ye panchyon jism tery zuriyet se han aur mary nazdeek tmam makhlook se mukarram han aur Jibraeel ne kaha k Jb Adam (A.S) se lagish waqiya hoi to unihyon ne kaha Ya-Ilahye in panchyon Ashba ki hurmat ki fzelat se meri toba qabool farma. Pus Allah Tallah ne is pr toba qabool farma li.

Hadith

*>Aik Anmool Hadees Qudsi*<

Allah Tallah ne Ap (S.A.W.W) se farmaya k:

1: Ma ne apni raza ko "Mukhalfat Nafs" ma rakh dya ha, log muaafkat nafs ma talash karty han bhala wo kasy payn gay.

2: Ma ne "Raaht-o-Aaram" ko jannat ma rakh dya ha, log isy dunya ma talaash krty han.

3: Ma ne "Ilm-o-Hikmat" ko bokh main rakh dya ha, log isy seery shikam ma talaash krty han.

4: Ma ne "Aitmnaan-o-Sakoon" ko Qnayat ma rakh dya ha, log isy dolat ma talaash krty han.

5: Ma ne "Ezzat" ko apni atiyat ma rakh dya ha, log isy jaah-o-jalaal ma talaash krty han.
Bhala wo kasy payn gay.

Hadith

Hazrat Ans (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya k ALLAH TALLAH ne tm pr Abu Bakr Sadeeq (R.A), Umir (R.A), Usman (R.A), Ali (R.A) ki muhabbat isi trah farz ki ha jis trah tm pr Namaz, Rozay, Zokaat aur Hajh farz han.